karne lage hai hum khud se pyar

Posted on 21st Feb 2020 by sangeeta

Zindagi ne, is kaddar, kiya hai,  bas vaar

Bina koi,  churee,  ya koi,  talwaar

 

Ghaayal; dil ye hua,  baar, baar

Zindagi ne, di,  chotain hazaar

 

Gaye thay,  hum,  is tarah se,  bikhar

jooda na, paye thay phirse ye jigar

 

khaamoshi se, milta tha,  bas, karaar

tanhayeeon se , karte thay, iqraar

 

Jhanke, hum jab, dil ke, jo andar

Sach nikala, gehrayion se, baahar

 

Shikayat hai, ab na, koi takraar

karne lage hai, hum, khudse jo pyaar!

Other poetry