SAANSE JISME TERE ISHQ KI

Posted on 19th Feb 2020 by sangeeta

Ho toh gayi thi who sabhi baatein jo kehni thi

par shayad koi ek baat reh gayi adhuri hai.

Us sham teri aankhon mei padha toh sab tha

par shayad ek aakhari mulakaat zaruri hai.

 

Cahkar bhi na rok saku na thaam saku tera hath

na jane kaisi yeh takdeer ki mazboori hai.

Tu rehta toh hai meri in dharkano mei

na jane kaisi fir yeh tumse doori hai.

 

Jo kahani hud likhi ho khuda ne

fir kyu wo kahani nahi puri hai?

Mohobbat hote hue bhi sath rehne ki

fir kyu di nahi usne manjoori hai?

 

Haathon ke in lakeron kea age kon karta jee-hazoori hai

par takdeer ho, ya zalim duniya, ya ho koi khuda

meri mehenkenge saanse jisme tere ishq ki kastrui hai.

Other poetry