Udaan

Posted on 16th Feb 2014 by admin

Kalpana ki ek udaan
unn shabdon mein lipti
jaisey ghol gayi
mishri si mithas
tann-mann mein..
'mein' jaisey simat gayi
uss makhmali
ehsaas mein...

thii kalpana ki wahi udaan
kar gayi joh sabh
sundar
mere andar
tere andar
jaga gayi
preet ki
na thamne
waali woh
garam lehar...

~01/09/09~

Other poetry