Holi - Prem ki !!

Posted on 16th Feb 2014 by admin

Aao Aao, Yahan sabh aao
dekho kaisey khel raha
natkhat nand laal yahan
chupke se chura raha
makhan mishri latka hua..

'kaanha kaanha' ki pukaar
har oar, Gopiyan dhonde
charon tarafh, khud
bechain hain - rang jaane ko
prem mein apne 'hari' ke..

bhar pichkari rang se
bhiga joh deve
nand kishore
chad jaaye rang pakka
bhakti aur preet ka....

aao aaj hum phir
mil khelein aisey pakke
prem rang ki holi
joh bhar de jeevan aisa
kabhi na sukhe rang phir kabhi....!


~18/02/2010~
Deepti Agarwal

Other poetry