Swatantrata ka samay ab aaya hai !

Posted on 22nd Feb 2020 by sangeeta

Uth mere veer javan uth,

Uth mere veer javan uth,

Lahlahaati is dharti me aaj,

Fir nayaa josh aaya hai !

Kadam apne dagmagaane na dena,

Kyonki jaane vala yah kala sayaa hai !

Uth mere veer javan uth,

Uth mere veer javan uth,

Svatantrataa ka samay ab aaya hai

Svatantrataa ka samay ab aaya hai !

Laal, baal, paal, jaiso ne jo kasme khaai thi,

Use pura karne ka samay ab aaya hai !

Bahut kiya raaj angrajo ne,

Aaya samay ab hamara hai !

Uth mere veer javan uth,

Swatantrta ka samay ab aaya hai !

Other poetry