AAP KA INTZAAR

Posted on 15th Feb 2020 by sangeeta

Ab humein neend nahi aati,

Bas ek dastoor hai jo nibhana padta hai,

Subah hone hi wali hai, par humein to,

In armaanon ko bhi sulana padta hai,

Na jaane kabse humein intezaar hai unka,

Paas ho kar bhi, unhein bulana padta hai

Other poetry