MEET KARAYE NAHI JATE

Posted on 27th Feb 2020 by sangeeta

Woh suhane lamhe ab bhulaye nahi jate

Yaado k parinde yu hi udaaye nahi jate

 

Woh chhat par aana wo julfe lehrana

Sabhi pegaam likhkar bataye nahi jate

 

Woh bahana, saheli k ghar padne jana

Gali k chakkar ab aise lagaye nahi jate

 

Wo aangan mein aakar angithi jalana

Purane bahane to ab banaye nahi jaate

 

Mohalle ki shadi me saj-sanvar kar jana

Humesha toh ye jalwe dikhaye nahi jate

 

Woh kisi kone me chup kar aansu bahana

Aise ehsaas toh “Meet” karaye nahi jate

Other poetry