Raah dekhi thi is din ki kabse, Aage ke sapne
saja rakhe the naajane kab se. Bade utavle
the yahaan se jaane ko , Zindagi ka agla
padaav paane ko . Par naa jane kyon …
Dil mein aaj kuch aur aata hai, Waqt ko rokne
ka jee chahta hai. Jin baton ko lekar rote the
Aaj un par hansi aati hai , Na jaane kyon aaj un
palon ki yaad bahut aati hai . Kaha karte the
…Badi mushkil se 7 saal seh gaya, Par aaj kyon
lagta hai ki kuch peeche reh gaya. Na bhoolne wali
kuch yaadein reh gayi, Yaadien jo ab jeene ka sahara
ban gayi. Meri taang ab kaun kheencha ka