Jeevan mein madhu ka pyaala tha
Tumne tan man mein daala tha
Wah toot gaya toh toot gaya
Madiraalay ka aangan dekho
Kitne pyaale hil jaate hain
Gir mitti mein mil jaate hain
Jo girte hain kab uthte hain
Par bolo toote pyaalon par
Kab madiralay pachtaata hai
Jo beet gayi so baat gayi