Friendship Poems

salamat rahe hamari dosti

Salamat rahe dosti ye hamari

Yu hi ekta ho dua hai hamari

Teri mushkilein mujhe mil jayein sari

Meri khushiyan nam ho jayein tumhari

Kabhi barisho ka aye jo mausam

Chata leke chal padenge sath ham tum

Jo cha jaye kabhi ghana andhera

To roshni leke sath dunga main tera

Yu hi chalti rahe zindagi ki ye gadi

Amar ho jaye ho aisi dosti hamari

Advertisement

Trending today: see what people are reading