Is vishad viddh-prahaar mein
Kisko nahi behna pada
Sukh-dukh hamari hi tarah
Kisko nahi sehna pada
Phir vyarth kyun kehta phirun
Mujh par vidhaata vaam hai
Main poornata ki khoj mein
Dar-dar bhataktaa hi raha
Pratyek pag par kuch na kuch
Roda atakta hee raha
Niraasha kyun mujhe, Jeevan isi kaa naam hai