Pyara pyara mera desh,
saja-sanwaara mera desh.
Duniya jis par garv kare--
nayan-sitara mera desh.
Chandi-Sona mera desh,
safal salona mera desh,
Suraj jaisa alokit--
sukh ka kona mera desh.
Phoolon wala mere desh,
jhoolon waala mera desh,
Ganga-Yamuna ki maala ka--
phoolon wala mera desh.